Google Drive kya hai?

Dosto aajkal aap Log Google Drive , One Drive aur Dropbox ka nam bahut sunte honge , Sath hi sath aapne Cloud Storage ka nam bhi kai bar suna hoga .  Vaise to ye Cheeze bahut hi jyada Useful hai lekin aap shayad inke bare me inti acchi tarah ni jante hai isliye inka fayda ni le pate honge , Aaj ke is Post me main aapko Google Drive jo ki ek Cloud Storage Service hai uske bare me Detailed Jankari Dunga , Aur mujhe ummeed hai ki aap iske bare me Acchi tarah se jan payenge aur iska fayda le payenge .





कया है Google Drive ?
Dosto Google Drive ya One Drive aur Dropbox ko aap aasan bhasha me samjhna chate hai to aapko main ek basic Example  deta hu , Jaise ki aapke Computer PC me Local Drive jaise C Drive , D Drive aur E Drive Hote hai aur inka use aap apne Data jaise , Movies , Software , ya kisi prakar ka Data Save karne ke liye karte hai , Dosto vaise hi Google Drive Bhi ek Drive (Storage) Services Hoti hai , Jahan aap apna Data Store kar sakte hai , Dosto ab aapke man me sawal aayega ki agar Hum data ko apne computer ke local drive me save kar sakte hai to google Drive ki kya jarorat hai . Dosto Google Drive ki Madad se aap apna data Internet (Cloud) par save kar sakte hai .

क्या है Cloud Storage :

Dosto Cloud Storage ko agar aap Aasan Bhasa me Samjhe to aap samjh sakte hai ki Cloud Storage ek Aise hard Drive hai jo ki Internet par hai . Dosto jaisa aap Apne PC me Apni Hard drive me Data Store kar sakte hai Theek vaise hi aap Cloud Storage par bhi data save kar sakte hai .  Dosto Cloud Storage ka sabse bda fayda ye hai ki aap Cloud storage se Data ko kabhi bhi khi se access kar sakte hai , Agar aapne Apne computer me Koi File save ki hai to uske liye jaroori hota hai ki aapka computer aapke samne ho tabhi aap us File ko access kar sakte hai , Lekin Ydi aapne Cloud Storage me Koi Data save kiya hai to aap khi se bhi apne data ko access kar sakte hai .

क्या फ़ायदे है Google Drive को इस्तेमाल करने के ?

Google Drive ya kisi aur cloud Storage par aap apna data save karte hai to aap internet ki madad se use khi bhi access kar sakte hai .
Local Computer me save kiya hua data ko Khatam Hone ke chances bahut jyada hote hai , jaise ki hard Drive Crash hone par aapka sabhi important Data Khatam Ho jata hai . Lekin aap Data ko Cloud storage par save karte hai to data Destroy Hone ke chances 99% tak kam ho jate hai .
Cloud Storage par agar aapka Data Save hai to aasani se aap kisi ke sath use Share kar sakte hai .
क्या Google Drive पर अपना Private Data Rakhna Safe hai
Dosto Google Drive ya kisi aur cloud storage par ye service aapko milti hai ki aap apne data ko Privatly rakhna chahte hai ya Publicly .  Agar aap hi sirf apna data Dekhna chate hai to aap apne data ko Privatly Save kare , Dosto ab bat aati hai ki aapke Bahut hi private data ki jaise Photo video etc , Dosto aap is tarah ke data ko bhi Cloud Storage par rakah sakte hai , Par aap kisi trusted Cloud service Ko hi chune jaise Google Drive , One Drive aur Dropbox . Dosto Agar aapka Google Account hai to aapko google drive ka account bhi sath me milta hai , aur 15 gb tak ka data aap free me google drive par save kar sakte hai .

Dosto Mujhe Ummed hai ki ye jankari samjh aa gyi hogi aur ab aap Google Drive ka use karne ka soch rhe honge , isliye main is Post me niche ek video lga rha hu jisme maine Bataya hai ki kaise aap google drive ka Use kar sakte hai , Dosto Google Drive ke Android Mobile aap bhi hai to aap apna data directly mobile se Google Drive par save kar sakte hai . agar aap bhi un logo me se hai jinhe hamesha dar rahta ki aapke important photo aur video khi galti se delete na ho jaye to aap Google Drive ka istemal Jarur kare aur apna data Safe rakhe .
SHARE

Milan Tomic

Hi. I’m Designer of Blog Magic. I’m CEO/Founder of ThemeXpose. I’m Creative Art Director, Web Designer, UI/UX Designer, Interaction Designer, Industrial Designer, Web Developer, Business Enthusiast, StartUp Enthusiast, Speaker, Writer and Photographer. Inspired to make things looks better.

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 Comments:

Post a Comment